बलात्कार के विरुद्ध

साथियों, इस साल के आखिरी महीनों ने हमारे देश की तथाकथित नैतिकता की पूरी तरह पोल खोल कर रख दी है. आंध्र के राज्यपाल नारायण दत्त तिवारी हाल में मीडिया में छाया  सेक्स स्कैंडल हो या फिर हरयाणा में आज से दो दशकों पहले इक किशोरी का शोषण कर के उसे आत्महत्या पर मजबूर कर देने के आरोप में फंसे  हरयाणा के पूर्व पुलिस प्रमुख राठौर का मामला हो,साफ दीखता है कि बाड़ ने ही खेत को खाना शुरू कर दिया है. बच्चियों,किशोरियों और महिलाओं के शोषण का यह जो चक्रव्यूह फैला हुआ है उसके खिलाफ हर एक को उठ खड़े होने कि जरुरत है. देश में जो यह बलात्कारी मानसिकता फैलती जा रही है, उससे हर महिला आज अपने को असुरक्षित महसूस कर रही है.  आपके विचारों का इंतजार रहेगा कि इस परिस्थिति में हम लोग क्या बदलाव ला सकते है.



मुझे शर्म है की मैं एक ऐसे समाज का हिस्सा हूँ
जिसमे कोई भी लड़की खुद  को सुरक्षित नही महसूसती
घर के बाहर की बेशर्म दुनिया में ही नही
नैतिकता के पर्दों से ढके घर में भी.

न जाने कैसा कुंठित नैतिक समाज है हमारा
जिसमे साठ साला व्यक्ति की काम वासना भड़क उठती है
छः साल की अकेली लड़की को देखकर.
जिस समाज में हर मनुष्य भूखे भेडिये की तरह है
शिकार की तलाश में लार टपकाता.

इक ऐसा समाज जिसमे बस और ट्रेनों में
सफ़र करती औरतों ही नहीं बच्चियों तक  को पता है
कि कितना जुगुप्षा जनक हो सकता है मानवीय स्पर्श
की कितनी भूखी और कामुक हो सकती है आँखें
कितनी अश्लील हो सकती है मुद्राएँ
कितने गलीज और घिनौनी हो सकती है भाषा.

इक ऐसे समाज का हिस्सा हूँ मैं
जिसमे हर मिनट खरीदी-बेची जा रही होती है
कोई मासूम बच्ची किसी भेडिये के हाथों,
एक ऐसा समाज जिसके चौराहों पर
रेड लाइट मिले या न मिले पर
पर जिसमें जरुर मिल जायेगा रेड लाइट एरिया.

ऐसा महान समाज है हमारा
जिसमे सेक्स एजुकेशन की बात सुन
सोयी नैतिकताओं के प्रेत  जाग उठते है.
पर जिसके लोग अपने घरों में ब्लू फिल्मे देखने में
या सिनेमा हॉल  के सुबह की शो की शोभा बढ़ाने में
या नेट पर सुखद पोर्न का आनंद लेने में नही हिचकते.
कहते है गर्व से की भाई खजुराहो हो या
काम सूत्र , सब तो हमारी सभ्यता की ही देन है.

वर्जनाओं, कुंठाओं की चारदीवारों से घिरे
मनोरोगियों से भरे इस समाज में
लड़की होकर पैदा होना गुनाह है शायद.
जिस्म को छेदती भूखी निगाहों के इस युग में
लड़की होने का मतलब हर पल घुट कर मरना है.

सोच सकते हो तो सोच कर देखो किसी
बलात्कार की मासूम शिकार की व्यथा
तन, मन और आत्मा अनजान हो उठते है एक-दूजे से
 टुकड़े-टुकड़े हो जाता है  अस्तित्व
अपने शरीर से, अपनी लाचारी से, अपने आप से
घिन आती है, बोझ हो उठता है जीना.
मरना आसान लगता है, मुश्किल लगता है जीना.

हर एक बलात्कार के बाद
विश्वास घटता जाता है ईश्वर से
इंसानियत से, इंसान की अच्छाई से,
लगता है की ऐसे इंसान से तो पशु भले
मन में बर्बरता जागने लगती है
पंजे कसमसाने लगते है गला घोंट डालने को
उन हैवानों का जो मानवता को कलंकित कर रहे हैं
अपने पाशविक कृत्यों से.

मुझे उस सुसमय का इंतजार है जब खबरे आयेंगी की
लड़की ने बलात्कार का प्रयास करने वाले की जान ली.
बलात्कारी को दी गयी सरे आम  फांसी.
तबतक के लिए हमारा जेहाद जारी रहे-
बलात्कार के विरुद्ध.

टिप्पणियाँ

KESHVENDRA IAS ने कहा…
ORKUT KI PYARI COMMUNITY 'MAQAAR-E-SHAFAQ' PAR IS KAVITA SE JO BAHAS SHURU HUI, USE AAP LOGON KE SAMNE RAKH RHA HOON. AASHA HAI KI AAP LOG BHI IS BAHAS ME HISSA LENGE.

1. sangeeta
keshav ji,
aapki is rachna par kuchh bhi kahane layak swayam ko nahi pa rahi hun..stabdh hun aur maun....

vrihad vishay hai par mere shabd maun hain bass aapka likha ek ek shabd mann men utar gaya hai......badhai

2. 29/12/2009 Rajni Nayyar
keshav ji.............
मुझे उस सुसमय का इंतजार है जब खबरे आयेंगी की

लड़की ने बलात्कार का प्रयास करने वाले की जान ली.

बलात्कारी को दी गयी सरे आम फंसी.

aapki rachna wastutah hamare samaj ke us hisse ko drsha rahi jo sachme
ek kodh ke sman hai.............aur un bhukhe shikariyon par jinki shikar ek mahila,ek ladhki hoti hai......chahe uski umar kuchh bhi ho.............

aapki rachna ki ye lines sachme jis din sarthak hogi .............us din gaurvanvit hogi naari jaati apne aap par...........us har rawan ka sanhaar jis din ho jayega..........
sukriya itni achhi rachna hame dene ke liye..................


3. 29/12/2009 Taru
Keshvendra Ji
Sir,

Sangeeta ji ki hi tarah main bhi stabdh thi..maun thi..jab dopehar yeh rachna padhi thi........aapki lekhni kahin bhi bhatki nahin hai...ek santulin setu per chalte hue isne is rachna ko likha hai.........waaqayi....Mumma Aunty ki hi tarah ek ek lafz is kavita ka mann ke bheetar tak utar gaya hai..............



mera sach mein ek 'Robbin Hood jaisi Naari sena' banane ka bada mann hai..jo is tarah ke crimes ki saja doshiyon ko illegaly degi....................kam se kam kisi ruchika ko 19 saaaaaal tak nyaay ka intzaar nahin karna apdega............

khair...........yeh to main aavesh mein aa gayi.....tark-sangat baatein karoongi jab proper behas shuru hogi......................:)

shukriya aur badhayi Rachna ke liye aapko....:)

4. 29/12/2009 KESHVENDRA
Sangeeta ji, apne do panktiyon me jo kaha hai, wo man ko chhu gaya. Rachna ka santosh tabhi hai jab wo apne sahriday pathko tak pahuche. Aapka snehashish hamesha margdarshan karta hai hamlogon ka.

Rajni ji, wakai jis din is kavita ki akhiri panktiyan sach ho jayengi, us din lagega ki haan sachcha women empowerment ho chuka hai. Umeed kare ki wo din jaldi hi aaye.

Taru ji, apke aavesh yukt vichar achhe lage mujhe. Wakai, jab aap kisi pidit mahila ya kishori se milte hai to unhe us avastha me pahuchane wale ke prati khoon khaul uthta hai.
Jaruri hai ki Bharat ki har mahila Shikshit or Sabal bane. Ruchika ne agar atmhatya karne ke bajay us shaksh ki hatya ki hoti jisne use us halat me laa khada kiya tha to koi baat hoti. Is vishay par vichar manthan ko ham log aage badhate rahenge.

Ek bar fir aap sabon ka shukriya, is vishay ke har pahloo par charcha ko aage badhane ki hamari koshish jari rahegi.

5. 30/12/2009 Vandana
keshav ji......bahut kadve kadve sach bole hai aapne hatts offf.....

filhaal jyada kuch nahi keh sakti .......maine 4 line likhi thi ek ladki ke najariye se ......

unhe baantna chahooongi aap sabse ,...


उजाले न जाने क्यूं ..अच्छे नही लगते
साये न जाने क्यूं ..सच्चे नही लगते
दुनिया की नजरो के कथन समझने लगी हूँ जबसे
साधू भी न जाने क्यूं.. सच्चे नही लगते |
KESHVENDRA IAS ने कहा…
Mahqaar-e-shafaq community se samvad ka silsila-2

6. 30/12/2009 KESHVENDRA
@Vandana ji
Aapki chhoti kavita me jo bada sach hai or jitni marmikta ke sath vyakt hua hai, man ko chhu gaya. is bahas ko aage badhane ke liye dhanyavad.

7. 30/12/2009 Taru
@ Vandana.........

sahi likha tumne..............even maine bhi hospital mein aise aise cases dekhein hain...k kya bataun...

insaan kis hadd tak gir sakta hai aur ladkiyaan kis hadd tak sehan kar sakti hain...donon ki charam parakashta to nahin...magar parakashtha dekh chukin hoon apni ankhon se..................ab samvedansheelta nahin bachi..................RUCHIKA wale case mein bhi ..i still feel that she must have killed that bloody DIG rathore.........and the she had to commit suicide.......but she tolerated a lot......and finally died........:(

......mujhe bhi army ka usool bada pasand hai...maaro...chaahe markar maaro ya zinda rehkar...magar dushman ka safaya kardo.............hum na rahenge to kya hoga....peechhe bahut se log to safe honge naa.................

anywyas.......................

Thanks s lot Vandu Dear...for sharing thez 4 lines with us.............:)


8. 30/12/2009 ♠♠gazlon wala♠♠
sashakt mudda uthaya hai aapne keshaw ji...dogale maapdandon se uth kar hi samaaj samaaj ban sakta hai..aap ki uthayi mashal se raushni ho..yahi dua hai..

9. Archana
Keshav ji......kya kahoon......shabd hi nahin hain mere paas....... 30/12/2009 delete KESHVENDRA
Aameen Aatish bhai and Archana ji , shaharyar ka ek maujun sher yaad aa gaya-

Dekh ham fir jala rahe hain chirag
Aye hawa hausla nikaal apna.

Andhere me deep jalane ki ham sab ki yah sajhi koshish yun hi badhti rahe...

10. 30/12/2009 ஐनीर...●๋•
Keshav ji mera aadhe page ka reply ud gaya.....main shaam tak comment k saath upasthit hota hun.....

11. 30/12/2009 KESHVENDRA
@Neeraj Ji
Koi baat nhi Neeraj, hame is bahas me apke vicharon ka intzar rahega.
KESHVENDRA IAS ने कहा…
Samvad-3
12. 30/12/2009 ஐनीर...●๋•
Keshav ji
Humare mahan, sanskritik desh ki yehi vidambana hai ki hum acchai ka dhol peet te hain aur us ke baad dhol mein ched kar dete hain. Jab rape, molestation, jaisi ghatnaayein hoti hain tab ye valentines day par sanskriti par naare lagane wale log na jaane kahan gayab ho jaate hain???
kisi vigyapan par agar ladki ne kam kapde pehne hon to saari uda di jaati hai sanskriti ki aad mein....khajuraho ki moortiyon par jaa kar aaj tak saari ya dupatte kyon nahin udaye??
Humari sanskriti hume sikhati hai ki "atithi devo bhav" - humare desh mein jab doosre desh se atithi aate hain to ya to unka rape kar diya jata hai, ya bhagwan se milan kara diya jata hai ya loot liya jata hai aur jo log aisa karne mein asamarth rehte hain wo unko raah chalte mud-mud kar ghoorte hue jaate hain.

Ruchika wale case mein aapne kaha ki baat tab banti jab usne rathor ko maar diya hota.....kisi bhi insaan ko aatmhatya ya kisi ki hatya karna bahut mushkil hota hai. Aur ek aise shaks ki hatya karna aur bhi mushkil hai jo ki security ghere ke andar rehta ho.
Ruchika ne jab kuch bhi nahin kiya tha tab uske parivaar ki buri haalat kar di thi corrupt system ne to sochiye jab wo hatya kar deti tab kya halat ki jaati parivaar ki??

Apne yahan par ek to laws strict hone chaiye, doosra jo laagu karte hain un par dabaav hona chaiye ki theek se laagu hon aur sab log (without any discrimination of caste, religion, sex and social status) paalan karein. Aur judiciary ki functioning tez ho.

Sahi kaha aapne ki jihad chalu rahe....Jihad aisi hi buraiyon pe hona chaiye zameen ke tukde pe nahin.

13. 30/12/2009 Taru
Neer
tere vicharon ka summery isi mein hai k system shud be strict n loyal to its duty........jo ki sambhav nahin desh mein.....................yeh main sochti hoon.........

doosri baat.......Rang De Basanti ki.............k desh ko sudharna hai to zimmedari lo ya fir gandhi ji k banadar ban jaao...

.....khair....main to ab bhi yahi kahungi..Ruchika ko Rathore ko maarkar hi marna tha.............................aur jaise tune kaha..bina murder kiya sirf suicide bhar ke baad hi uski family kis problem mein se guzar kar nyaan ki chaukhat tak aa payi hai..........


chal abhi Muasi daant rahin hain..kuch aur kehna hai...khana khake aake kehtin hoon.........:)


14. 30/12/2009 KESHVENDRA
@Neeraj
Shukriya Neeraj, itne achhe sujhavon ke liye,
Wakai Judicial system me Women or children related serious crimes ki priority basis par sunvai honi chahiye. Sath hi in sab matter me court ki sari prakiya bhi thodi samvedanshil honi chahiye. Abhi to yah aalam hai ki court ki karyvahi bhi pidita ke liye ek bahut badi mansik yantrana ban ke rah jati hai.
Dusri baat ki abhi hamare samaj ki mansikta aisi hai ki jisme ghar-parivaar ke log aise matter par badnami ke dar se kai bar baat ko chhupana jyada pasand karte hain. Unhe dar hota hai ki logon ko pata lagne par ladki ki shadi me dikkat aayegi or wakai yah hamare samaj ki kadvi sachchai bhi hai. Taslima Nasrin ki baat yaad aa rhi hai ki aisa kuchh bhi hone par Purush nasht nhi hote par ladki ka mano samaj ki najro me sab kuchh kho jata hai, nasht ho jati hai ladki. Is mansikta ko bhi badalne ki jarurat hai. Or, is mansikta ko badalna sabse bada kaam hai.
Aasha hai ki ye bahas yun hi aage badhti rahegi.
KESHVENDRA IAS ने कहा…
Samvad-4

15. 30/12/2009 ஐनीर...●๋•
Taru
RDB ki baat karein to us mein unhone jin bandon ne arms deal mein paise khaaye the unko maar diya. Kya usse kuch sudhaar hua?? tujhe kya lagta hai aaj bhi arms deal mein paise nahin khaaye jaate? aaj bhi aisi kayi deals hongi jo ki atki padi hongi sirf is liye kyon ki yahan par baraat ke saath-saath band wale bhi khaate hain.
Hum 26/11 ko yaad kar ke rote hain, afsos jataate hain....Jo police wale us din shaheed hue wo aisi rifle le kar lad rahe the jin ka kuch pata nahin tha ki wo fire karengi ya mis-fire karengi. Agar sahi hathiyar hote unke paas to jo jahan tha wahin maar giraya jaata, baat Taj aur Oberoi tak nahin pahunchti.
Sab jagah bas ye hi maang hai ki Kasab ko saza do....Kasab ko saza do....unka kya jinki wajah se haath mein rifle theen aur casualties badhti chalin gayin.

Ruchika ka case 19 saal se chal raha tha, 1 mahine pehle tak kon jaanta tha ki kon Ruchika aur kon Rathor?? Media sab ke saamne laya ki kya hua tha tab aur Rathor ko kis baat ki itni kam saza mili. Jo tu bol rahi hai ki wo maar deti usko to tu khud soch ke dekh ki kya hua hota scene?? tab 4 casualties hui hotin - Rathor, Ruchika, father and brother.

Agar system hi loyal aur strict nahin hoga to kya kanoon hath mein le kar chalegi moti?? Democracy abhi democrazy hai tab to mobocrazy ho jaayegi aur haalaat aur bigad jaayenge.

I m not saying that once should sit ideal but there should be some platform where we can fight against all this. And till the time such a platform is not available we won't be able to do much. Such a platform can only be constituted in our society by amendments in our constitution.


16. 30/12/2009 ஐनीर...●๋•
Keshav ji
Sahi kaha Keshav ji ki samaaj ki mansikta ko sudharna zaroori hai aur wo koi 1 ya do saal mein nahin sudhar sakti. Agar aaj ki meri wali generation ko ye baat samajh aa jaati hai to jo humare baad aane wali generation hai usko aasani hogi. Kyonki pehle ki generation ki mansikta badalna bahut mushkil hai kyonki unhone zindagi bhar isi cheez ka paalan kiya hai.

Humara actually Executive, Legislature aur Judiciary teenon hi tuti kursi par baith te hain. Sab ko dar hota hai ki thoda bhi hile to neeche se kursi ka ek pair chala jaayega. To kursi ka majboot hona zaroori hai. Wo kaise hogi is par bahut hi bada sawaliya nishaan hai. :)


17. 30/12/2009 KESHVENDRA
Neer & Taru...
Bahas ke silsile ko aage badhane ke liye dhanyavad
Ye baat sahi hai ki Media aaj kal in maslon me sakaratmak bhumika ada kar rha hai, magar unhi muddon par jo kisi-na-kisi wajah se ubhar ke samne aa jate hain or jinme news value hone ke sath media ko jyada khatra mahsoos nhi hota. Khair, to bhi haal ke episode me media ki bhumika sakaratmak rhi hai.

Taru, RDB meri bhi favourite filmon me hai or mujhe Guru Govind Singh ke ek sher ka arth bhi maujun lagta hai ki Jab Julm ke khilaf koi or rasta kargar na rahe to fir Talvar utha lena jayaj hai. Par mujhe nhi lagta ki raste puri tarah band ho gaye hain.

Mujhe lagta hai ki mansikta badalne me Shiksha ki bhi achhi bhumika ho sakti hai. Ladkiyon ko school se hi agar Jude-karate or self-defence ki baten sikhayi jaye to unke atmviswas me kafi badhotari hogi. Sath hi school me agar Sex education ke sath moral education ki vyavasth ho to isse bhi kuchh sakaratmak badlav aayenge.

Umeed hai ki vicharon ka ye karvan badhta rahega....
Taru
Neeru aur Keshav ji
aap donon se hi sehamt hoon....per Neer jiski baat kar raha hai...woh Bharat mein possible to hai...per uska sapna dekhna bahut hi mushkil kaam hai...............
KESHVENDRA IAS ने कहा…
Samvad-5

18. 31/12/2009 ஐनीर...●๋•
Keshav ji
Hum bacchon ko jo education dete hain wo bahut hi bookish hoti hai aur bacche usko real life mein use nahin kar paate. Mujhe acche se yaad hai ki bachpan mein ek Moral Science naam ka subject hua karta tha aur uski bakaayeda book hua karti thee. Uska jab period hota tha to koshish yehi rehti thee ki kisi tarah bunk kar lo class, bahut hi boring hoga. Ab bade hokar samajh aata hai ki bhaiya moral policy jo hai wo kitaab se thode aayegi wo to practically bachon ko practice karwaoge to unko apne aap aadat pad jaayegi ek time ke baad.
Bahut saari cheezein hain jisse ki desh ko behtar kiya jaa sakta hai lekin humare paas proper platform nahin hai unko karne ke liye.


19. 31/12/2009 ஐनीर...●๋•
19 saal se case chal raha hai par aaj tak kuch nahin hua, Jab media ka pressure pada to court, CBI, home ministry, janta sab jaag ke khade ho gaye. Rathore ki jo verdict wale din hansi thee wo kal court mein sab gayab ho gayi.
Jo kaam aaj ho rahe hain dabaav ke chalte kya wo kaam pehle nahin ho sakte the???

Moral of the story -

(Plz pardon my language....)
Everyone works on the principle of rocket.....till the time their ass is not on fire they don't move.

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

बादलों के घेरे में

"एक शेर अपना, एक पराया" में दुष्यंत कुमार के शेरों का काफिला

आत्ममुग्धता